Shopping Cart

0

Your shopping bag is empty

Go to the shop

Kya Gupt Rogo Ka Ayurvedic Ilaj Sambhav Hain

By :Dr A K JAIN 0 comments
Kya Gupt Rogo Ka Ayurvedic Ilaj Sambhav Hain

Purusho me gupt rog ek aam baat hain. Kahi log is bimari se pidit hote hain, par use vishay me charcha karne se katrate hain. Agagr aap is tarah ki kisi bhi samasya se pareshan hain to behtar yahi hoga ki app kisi anubhavi sexologist ko consult kare. Reputed clinics apne patinets ki identity confidential rakhte hain aur app ko use vishay me adhik chinta karne ki jarurat nahi rehti. In gupt rog ka ayurvedic ilaj bhi sambhav hain aur jyadatar patients sahi upachar se in in bimario ke lakshan kum hone ka anubhav kar chuke hain. To aayie jante hain kis prakar ke gupt rog aam hain aur unka ilaj kaise sambhav hain.

Gupat rogo ke prakar:

  • Shigrah skhalan
  • Kamechha ka abhav
  • Retrograde Ejaculation
  • Stambhan dosh
  • Mand skhalan

Shigrah Skhalan:

Is bimari me purush sex ke darmiyan jald hi virya patan ka anubhav karta hain. Kai kisso main ye prakriya ekdum hi jaldi ho jati hain, jesiki ling ka yoni pravesh hone se pehle hi sperm ejaculation ho jata hain. Jyadatar is bimari ka mul koi na koi mansik karan hota hain. Is prakariya ka samay badhane ke liye kahi prakari ki medicines uplabdh hain. Consultation se bhi is ka ilaj sambhav hain.

Kamechha Ka Abhav:

gupt rogo ka ilaj

Kahi bar purush sex main kam ya bilkul hi ruchi nahi dikhata. Mansik karan is prakar ki sex ke parti nishkriyata ke liye jawabdeyi hote hain. Koi bachpan main ghati hui ghatna ya khud ke prati hin bhavana rakhana is ka karan ho sakti hain. Is ka sahi nidan doctor ke dwara ho yahi uchit hain, kyuki har vyakti me is samsya ka mul alag hota hain.

Retrograde Ejaculation:

Virya samanyatah yoni ki muh se bahar aata hain. Jab purush retrograde ejaculation se pidit hain tab virya muh se bahar aane ki vajay mutra marg main chala jata hain. Is bimari se purush ko kisi anaya sharirik samsyao ka samna nahi karna padta. Visheshgya ki salah lene ke baad hi aap iska ilaj shuru kare.

Stambhan Dosh:

gupt rog ka ilaj

Ise napusnakta ke naam se bhi jana jata hain. Kai bar is bimari ki jade mansik hoti hain aur pursh jivan main aise dur se gujarta hain jab vo ling ko sampurna rup se uthan karne main nakam sabit hota hain. Sabse pehle doctor ling ka parikshan kar ke is natije pe pahochate hain ki is samsya ka karan mansik hain ya sharirik hain. Uske baad hi aage gupt rogo ka upchar sambhav hain.

Mand Skhalan:

Ise sankochi skhalan se bhi jana jata hain. Is me skhalan ki prakriya samanya se dhimi hoti hain. ayurvedic davaio se is ka sahi upchar sambhav hain, lekin kisi bhi medicine ka sevan shuru karne se pahle apane doctor ki salah avashya lain.

In bimario ke allva bhi kahi asi bimaria hain job sex life me negatively asar karti hain. Lekin ab samay badal chuka hain. App ko is bimari ke saath jine ki koi aavshyakta nahi hain. Behtar yahi hain ke app yogya clinic dhunde aur doctor ko apani bimari ke bare main bataye.

Summary:
Smanyatah gupt rog is prakar ke hote hain, jesiki Shigrah skhalan, Kamechha ka abhav, Retrograde Ejaculation, Stambhan dosh, aur Mand skhalan. Agar app in main se kisi bhi bimari se pareshan hain to turant hi kisi acche sexologist ko consult kare. In bimario main ke upchar main deri karna hanikarak sabit ho sakta hain.
Tags : Category_News
categories : Blog

Related post