Shopping Cart

0

Your shopping bag is empty

Go to the shop

Janie Kya Hain Shighrapatan Ka Sahi Upchar

By :Dr A K JAIN 0 comments
Janie Kya Hain Shighrapatan Ka Sahi Upchar

Hum log kahi tarake health issues ke bare main assani se vichar-vimarsh kar lete hain, par baat jab sex ki aaye to hum katrate hain. Sex sirf prajann tak simit nahi hain, ye jivan ka atyant hi mahattvapurna bhaag hain. Purusho me shighrapatan ek common sex problem, jiski charcha khual ve kabhi nahi karpate. Shighraskhalan ya shighrapatan ki dawa aayurved me bhi uplabdh hain. Agar is smasya ka ilaj samay par na ho pane par jivan nirasha se bhar jata hain aur aapke aur appke jivansathi ke bich bhi tanav badh sakata he. Iska prabhav appke jivan par na pade iske liye janie kya he shighrapatan ka upchar.

Shighrapatan ke do mukhya prakar hain:
Lifelong Shigrhaskhalan

Is prakar ke shighrapatan main purush uske jivan ke pehale sharirik sambandh se lekar lagbhag pure jivan main samasya ka samana karta hain.

Arjit Shigrhaskhalan

Agar samsaya nai hain aur iska aapko pehale koi anubhav nahi hua to ise arjit shigrhpatan kehete hain.

Shighrapatan ke Lakshan:

shighrapatan ka desi ilaj aap dhunde uske pehle ye jaan na jaruri hain ki uske lakshan kya hain aur kya app ise pidit hain ya nahi. Sab se samnay lakshan ye hain ke app ek tej uttejna se gujarte hain aur turnat hi skhalan ho jata hain. Kahi bar skhalan bas seconds ya minutes main hi ho jata hain. Kahi pursho ko ye manyata hoti hain ki vo ye samsya se pidit hain lekin aamdor par wo shighrapatan ke nirdharit mapdando ko pura nahi kar pate.

Janie Kya Karan Hain Shighrapatan Ke:

shighrapatan ki medicine uske sahi karan jan ne ke baad hi ki ja sakati hain. Sabse behtar yahi hoga ke aap doctor ki appointment le aur apana prikshan karwaye. shighrapatan pahle sirf manovigyabik mana jata tha lekin ab experts mante hain ki ye samsya manovigynik aur jaivik dono hi karano se hoto hain.

Shighrapatan Ke Maovigyanik Karan:

shighrapatan ka desi ilaj
  • Prarmbhik yon anubhav.
  • Bachpan hui koi yon shoshan ki ghatana.
  • Khud ke sharir ke prati naftrat ki bhvana.
  • Depression.
  • Shighrapatan ke bare me hi sochte rehna.
  • Doshi hone ki bhavana.
  • Kahi bar stambhan dosh ki vajase se bhi kai purush is samasya ka samana karte hain.
  • Khub chinta karna bhi ek karan hain, chinta khas kar yon sambdho ke baare me ki jati hain.
  • Aap ke partner ke saath aap ke rishte kis prakar se hain wo bhi ki bar shighrapatan ki vaja bante hain.

Biological Karan:

  • Hormonal samasyaye, hormones sharir main asamanya star ya thyroid bhi iske karan ho sakte hain.
  • Mastishk main neurotransmitter ki samsya hone ke karan bhi ye samsya ho sakti hain. Iskki waje se mastishk ke aanand dene vale kendro me sanket nahi pahoch pata.
  • Mutramarg ya protest main sankraman bhi ek karan ho sakata hain.
  • Ye samasya aanuvanshik bhi ho sakati hain.

Shighrapatan Se Bachav Kaise Kare?

Is samasya se bachane ke liye sex ke anya sukho par dhyan dena chahiye. Iska pehla fayada ye hoga ki aapki chninta kam hogi aur aapka skhalan pe niyantran bhi bana rahega.

Sex ke darmiyan position badlane par bhi skhalan pe niyntran ban sakta hain. Purush niche aur stree upar, isse bhi skhalan ki avadhi lambayi ja sakti hain.

Sex ke dauran kisi aur bare me soche jo uttejak na ho.

Shighrapatan Ka ilaj:

shighrapatan ki medicine
  • Aap apne skhalan reflex par niyntran pane ki koshish kare. Shuruat hastmaithun se kare. Hastmaithun viryapat hone vala ho tab ruk jaye aur aap ke skhalan par niyntran banane ki koshish kijiye. Is exercise ko regular kare.
  • Pelvic floor muscle ki niyamit rup se exercise kare. Sab se pehale apne pelvic floor ki mashpeshiyo ko pehchane. Peshab ke samay jab aap peshab rokenge to useme aapke pelvic floor muscle ka istemal hoga. 20 seconds tak is mashpeshiyo ko sikode aur chode. Is vyayam ko pratidin kare.
  • Condom ka istemal bhi aapko samasya se rahat de sakta hain. Condom savedna kam karne me madadrup hota hain. Condom hamesha kisi acchhi brand ka use kare.
  • Sex se pehle hastmaithun karne se bhi fayada ho sakta hain. Bahot se purush hastmaithun karne ke baad sex karte vakht apane skhalan par niyantran kar sakte hai. Ise sex ki prakriya lambi chalti hain aur shigrhskhaln ki samasya pareshan nahi karti.
  • Market me shighrapatan ayurvedic medicine bhi milti hain. Aap use medicines ka istemal kar sakte hain. Aap sunn karen vali cream ka istemal bhi kar sakte hain. Dawai ya anya prakar ki drugs lene se pehale apne doctor ki rai jarur le. Agar aap doctor ko dikhaye bina hi medicines lena chalu kar denge to app side effects ke shikar bhi ban sakte hain. Doctor se mile aur soch samaj kar unki salah ko follow kare.

Summary:

Jesa ki hum ne dekha ki shighrapatan ek jatil samasya nai hain. Agar is samasya ke karan app khud ke prati doshi bhav rakhte hain to aisa na kare. Isse samasya badhegi. Sahi yahi hoga ke app ek acche se sex doctor ko dhunde aur apana ilaj karvaye. Jayadatar purusho me mansik samsya ke karan shighrapatan ki bimari rahti hain. Aap ise apne jivan par prabhavit na hone de. Sahi kadam uthane se app apne rishto ko tut ne se bacha sakte hain aur apan jivan aanad se bhar sakte hain.

Tags : Category_News
categories : Blog

Related post